........
@The Golden Note
tera chup rahna mere jehan me kya baith gaya,
itni aawazein tujhe di ki gala baith gaya.
yun nahi hai ki fakath usse mai chahta hun,
jo bhi uss ped ki chhaon me gaya baith gaya .
itna meetha tha wo gusse bhara lehja mat pooch,
usne jis kisi ko jane ko kaha baith gaya.
uski marzi wo jise paas bitha le apne,
ispe kya ladna falaan meri jagah baith gaya....
........
@द गोल्डन नोट
0 comments:
Post a Comment